jab mai paida hua log kush hone se pahle bhagee samay note ghadi dekh ker ,
roz pitaji uthte ghadi dekh ker ,
chai pite ghadi dekh ker,
nahane jaate to ghadi dekh ker ,
office bhi jaate to ghadi dekh ker ,
roz mummi bolti ter pitaji abhi tak nahi ayee ghadi dekh ker ,
pitaji gher aate gadhi dekh ker ,
samachar sunte ghadi dekh ker ,
khana khate ghadi dekh ker ,
aur sone bhi jaate to ghadi dekh ker !!!!!!!!!
jab mai toda bada hua roz school jaane laga ghadi dekh ker ,
lunch aur chhutti bhi hoti to ghadi dekh ker ,
ek din gher der se pahucha to maa boli itni der kaha laga di ghadi dekh ker ,
mai bola jab mere pass ghadi hi nahi hai to gher kaise aawoon ghadi dekh ker ,
mil gayi mujhe ek nai ghadi ,
sabhi kush hote the dekh ker mujhko ghadi-ghadi ,
per kush hota bhi tha to ghadi dekh ker !!!!!!!!!
bada ho ker roz interview dene jaya keta tha ghadi dekh ker ,
aur naukri mili bhi to mujhe aati jaati train ki suchi banani thi ghadi dekh ker ,
meri shadi ki baat chalayi gayi subh ghadi dekh ker ,
aur jab mandap me baitha to panditji bole teri shadi bhi suru hogi ghadi dekh ker
meri patni ko nahi aati thi dekhne ghadi ,
phir paresaan kaise hoti ghadi dekh ker ,
ghadi ghadi mai bechain rahata tha ,
aur bechain hojata tha ghadi dekh ker !!!!!!!!
ek din film dekhne bhi gaya to karmchari bola ,
show ab suru hi hoga ghadi dekh ker ,
ghadi dekhte dekhte mera ser ghadi sa ghoomne laga ,
bimar pada doctor ke pas gaya ,
docter ne nabz pakdi fir bola appko bukhar hai ghadi dekh ker ,
her do ghante per dawa khaaiyega ghadi dekh ker ,
ab bhala jis karan bimar pada ,
thik kaise ho sakta tha ose dekh ker ,
sab kahne lage iske marne ka time aa gaya hai ,
aur sachh hi hai aaj mer bhi raha hu to ghadi dekh ker !!!!!!!!
Nishikant tiwari
Ads 468x60px
Wednesday, July 4, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Aab mai kaya kahu ? हो जज़्बात जितने हैं दिल में, मेरे ही जैसे हैं वो बेज़ुबान जो तुमसे मैं कहना न पाई, कहती हैं वो मेरी ख़ामोशियाँ सुन स...
-
A Lost Love (short story) . . . Is Love Blind ? ... .. . God when the dreams come true when the sky is full of stars and basket full of fl...
-
नभ को काले बादलों ने घेर लिया था | दिन भर की गर्मी के बाद मौसम थोड़ा ठंडा हो गया था | मैं हमेशा की तरह अपने छत पर संध्या भ्रमण कर रहा था ...
-
रफ़्तार पकड़ रही है जिंदगी उसकी आँखों में विनय था या अभिनय क्या पता मासूम मुखड़ा देख कालेजा फटता, हृदय टूटता रहा सारी ख़ुशी, धन-...
amaa lagta hai tumne ye poem bhi ghadi dekh kar hi likhi thi
ReplyDeleteaur main ye comment bhi ghadi dekh kar hi post kar raha hoon........
hahahhahaha......... :)
panchdev singh